TARANA-E-ANJUMAN
(Chorus – italics underline)

Anjuman, Anjuman,

Anjuman Anjuman, Anjuman Anjuman,
Anjuman Anjuman, Anjuman Anjuman,

Bulbule Ham Hai aur ye Hamara Chaman
Hamara Chaman
Bulbule Ham Hai aur ye Hamara Chaman
Hamara Chaman

Anjuman Anjuman, Anjuman Anjuman,

Hind ki Aabru shan, Islam ki
Shamma Jalti hai yan pyar ke naam ki
Shamma Jalti hai yan pyar ke naam ki

Hum ko hajat nahi koi Inam ki
Aarzoo hai fakat ilm ke jam ki
ilm ke jam ki
Bulbule Ham Hai aur ye Hamara Chaman
Hamara Chaman

Anjuman Anjuman, Anjuman Anjuman,
Anjuman Anjuman, Anjuman Anjuman,

Ilm daulat hai, Azmat Hai Insaan Ki
Ilm, Izzat hai, Hindu Musalman Ki
Ilm, Izzat hai, Hindu Musalman Ki
Ilm rahat hai deen aur Imaan Ki
Ilm zeenat hai har dil ki har jaan ki
Ilm zeenat hai har dil ki har jaan ki

Bulbule Ham Hai aur ye Hamara Chaman
Hamara Chaman
Anjuman Anjuman, Anjuman Anjuman,
Anjuman Anjuman, Anjuman Anjuman.